Main usko aaisa dasna chahti hoon ki woh pal pal marne ke liye tadapta rahe ... aur tadap tadapkar jeeta rahe
Unknown
Jab bhi hamare samne koi bewakoof akalmandi ka taj pehenne ki jurrat karta hai ... toh taj toh uske haathon mein hota hai magar pehenne ke liye uska sar nahi hota
Rekha
Jis tarah yamraj ko sirf yamlok hi dekh sakta hai ... ussi tarah Madam X ki shakal bhi sirf uska apna samraj hi dekh sakta hai ... joh bhi hamari jhalak dekhne ki jurrat karta hai ... woh jalkar aaise dhuan ho jaata hai ki na zameen ko uski khaak milti hai, na hawaon ko uski raakh
Joh meri asliyat pehchaane ki koshish karega ... main uski asliyat puri bighaad doonga
Mangal ka rasta joh rokta hai ... Mangal uske liye maut ka darwaza khol deta hai
Mithun Chakraborty
Naam hai mera Hatela Hitler ... meri makkari ke samne Hitler bhi ban jaata hai butler
Sadashiv Amrapurkar
Luca good, Luca bad, Luca not ugly ... baat yaad rehti hai usse pichli
Gulshan Grover
Chokri samajh ke chhod raha hoon ... doobara nazar aayi na toh Sridevi ka poster bana ke deewar pe chipka doonga
Johnny Lever
Public ne hero ko bhai bante bahut dekha ... ab public bhai ko hero bante dekhegi
Snehal Dabi
Upar waale se dua maango ki duniya mein joh bhi toofan aaye sar se guzar jaye tumhare ... lekin is aandhi se tumhara paala kabhi na padhe
Shatrughan Sinha
Main bhi azaadi ke pehle waali aurat nahi hoon ... joh chehre ki aarti utara karti thi ... main toh un mein se hoon joh badan se chehra utaar leti hoon
Farha Naaz
Maal mil gaya toh meri awaaz tu dubara nahi sunega ... aur agar nahi mila toh koi teri awaaz dubara kabhi nahi sunega
Apun bhi apni marzi ka maalik hai ... apne mood ka badshah hai
Anil Kapoor
Main maangta nahi ... cheenta hoon!
Amitabh Bachchan
Joh bhi apni zubaan nahi kholta hai ... main uske bheje ka dhakan khol deta hoon
(Dimmag hila hua hai kya tera?) - Dimaag nahi ... dil
Tiger Shroff
Bhaago, chupo, joh karna hai karo ... par main tum sabko dhoond nikalunga ... aur ek ek karke itminan se khatam karunga
Hrithik Roshan
Goli se maarenge toh goli ka naam hoga ... bomb se maarenge toh bomb mashoor hoga ... kisaan ka beta hai hum, bahut dum hai haath mein ... apne haath se maarenge usko aur khud mashoor honge
Rajkummar Rao
Maalik pehda nahi huye toh kya ... ban toh sakte hai
Cover khatam toh aadmi khatam
Zakir Hussain
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory