Meri premika kisi ki patni bhale hi ban jaye ... kisi ki patni meri premika kabhi nahi ban sakti
Dukh ke andhere ka seena cheerne ke liye ... mann mein vishvas ke suraj ka hona bahut zaroori hai
Jaise ek ajeeb sa caterpillar beautiful butterfly ban jaata hai ... biwiyon ka ulta hai ... woh butterfly se caterpillar ban jaati hai
Jab baap beta razi ... toh khulegi aaj Yamazaki
Kriya karam ka samaan koi bhi khareed ke laye ... magar kaam uske aata hai jiska waqt aaya ho
Main apne shikaar ko kabhi sote hue nahi maarta ... jagakar maarta hoon ... taki marte waqt usse shikayat na rahe ke maine usse apni zindagi bachane ka mauka nahi diya
Tune mere bachche ke saaye ko choone ki koshish bhi ki ... toh woh haal karoonga tera ... ki na jalaane ke liye shareer bachega, na bahaane ke liye astiyan
Gunde toh ungliyon par ginne ja sakte hai, phir bhi yeh gunde hum karodon par raj karte hai ... kyun? ... sirf is liye ki hum mein se har insaan yeh sochta hai ki woh akela kya kare ... woh yeh kyun nahi sochta ki hum sab milkar kya nahi kar sakte
Doosron ki madad karne mein joh fayda hai ... woh apni madad karne mein ho hi nahi sakta
Woh na pichle janam mein sudhra tha, na is janam mein sudhra hai, na agle janam mein sudhrega
Joh mard apne pyar ke bandhan ki hifazat nahi kar sakta, woh mard nahi ... joh aurat apne pyar ke bandhan ko todna chahti hai, woh aurat nahi
Mere paas woh kuch bhi nahi joh aapke paas hai ... lekin itna paisa hai ki ek mangalsutra khareed sakta hoon ... itni taqat hai ki kamakar khila sakta hoon ... aur itni mardangi hai ki bachche pehda karke aapko nani bana sakta hoon
Kabootar gaya bar mein whiskey peeke leta ... tu agar apni maa ko yahan se leke gaya toh bahut pitega beta
Supari ka paisa kha jaane wale ko ... Shiva supari ki tarah kha jaata hai
Ek ladki Miss Universe ka taj apne sar par pehan sakti hai ... gold medal apne gale mein latka sakti hai ... lekin ek mangalsutra bina mantra ke kabhi nahi pehan sakti
Aatma ek magar naam do, Kishen Kanhaiya ... ab dekhna main kaise bajata hoon inka band bhaiya
Pichle janam mein tum zaroor maachis ki dibiya rahe hoge ... is liye is janam mein baatein kam aur mooh se chingaariya zyada nikalte ho
Apun bhi apni marzi ka maalik hai ... apne mood ka badshah hai
Is aadmi ki parchai bhi kisi pe padh jaye na ... toh wahi marr jaye ... itna zehareela hai yeh
Papaya jaisa chehra, chikoo jaisi aankhen, tarbuj jaisa badan ... ladki hai yah fruit ki tokri?
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory