Agar isko kuch hua na ... toh tera postmortem pakka
Keemat thik lagi ho ... toh sabse pehle sapne hi bikte hai
Tum log sab jhoot bol rahe ho ... najane kitne din, kitne mahine, kitne saal jhoot pe jhoot pe jhoot bolte aaye ... aur main chup chap bardaasht karta raha
Laal batti se mera bada purana rishta hai ... hamesha mere peeche rahi hai ... aaj aage hai
Pyar, pyar hota hai ... jis mein vishvas hota hai, passion hota hai, wafaa hoti hai ... aur yeh woh wafaa hai joh aadmi ko bewafaa nahi hone deti
Apne ko kya hai ... apne ko sirf pani nikalna hai
Dushman jab haath se nikal jaata hai na ... toh poori raat chudiyon ki awaaz sunai deti hai
Main nahi darta ... maut darti hai mujhse
Aadmi ki fitrat hi aaisi hai ... chhot lagti hai na toh aadmi maa maa hi chilata hai sabse pehle
Jaise ek bakht bhagwan ke bina adhoora hota hai ... waise hi bhagwan bhi ek sachche bakht ke bina adhoora hota hai
Meri uniform meri aadat hai ... jaise ki saans lena, apne desh ki raksha karna
Amir aadmi pandhra minute mein apne kapde badalta hai, aadhe ghante mein apna ghar badalta hai, ek ghante mein apna dhanda badalta hai ... aur do ghante mein apni biwi badalta hai
Jitne tune rozze nahi dekhe na ... usse zyada chaand raatein dekhi hai maine
Meri sirf ek hi khawaish hai ... jab maut mere samne aaye tab main darra hua na lagon ... bas mera haath meri mooch ko taav de raha ho aur mere chehre par ek muskurahat ho
Joh tumhare raaste pe chalta hai ... wohi tumhara raasta kaatne ki koshish karta hai
Apun ka fatka char sau chalis ka jhatka
Maine sirf insaan banaya ... aur insaan ne yeh jaat, paat, dharm, mazhab ka dhanda shuru kiya
Yeh Bambai bhale hi Kumkum se Kimi Katkar ho gayi hai ... par aaj bhi aankhen bandh karke tumhe aadhi Bambai ghuma sakta hoon
Ab iske alava aur kuch utaarke phekne ko mat kehna ... varna meri sharafat bura maan jayegi
Koi kaam aadmi achcha kare toh saale ke liye champagne kholo ... bura toh uski khopdi
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory