Ab tak tera muqabla buzdilon se hua hai ... jab samna is mard se hoga na ... toh teri yeh sher banne ki galatphami door ho jayegi
Paap ka ghinauna rang main teri aankhon mein dekh raha hoon ... yeh rang maut ka elaan hai ... tu hi nahi, tujh jaise har paapi ka anth ab bahut hi nazdeek hai
Cooking is spiritual ... ek achcha cook banne ke liye, achche dil ka hona bahut zaroori hai
Apun Anna ... chaubees ghante chaukana!
Ek bhi goli chali ... toh jaan kisi ki bhi jaye ... maare tum log jaoge
Seedhe ghar jaoge yah ... haspatal hokar jaoge
Dimaag kharch karne se ... dimaag kam nahi hota
Tu bahut door nikal chuka hai ... itni door jahan meri humdardi tujh tak nahi pahunch sakti ... lekin mera farz tujh tak zaroor pahunch sakta hai
Mere pooch-taach ka dang bahut alag hota hai
Teri har saans ke peeche maut bankar khada hoon main
Teri maut tujhse utni hi door hai ... jitni door main tujhse hoon
Mera bas chale toh ek minute mein 60 seconds, ek ghante mein 60 minute aur ek din mein 24 ghante ... bas tumhe dekhta rahoon, tumhe choomta rahoon
Jab tak main tujhe maar nahi deta ... maut bhi mujhe maar nahi sakti
Woh pyar nahi ek mazak tha ... aur mazak dil behlane ke liye hota hai ... dil mein basane ke liye nahi
Dard itna meetha bhi ho sakta hai ... yeh aaj pata chala
Ek foot ki lohe ki nalli aur dedh inch ki barood ki goli ... oont ke mooh mein jeera lagta hai
Dhamki dene waalo ki main saans bandh karta hoon ... tera naseeb achcha hai, sirf mooh bandh kar raha hoon
Tum jaise afsaron ne rakshak aur rakshash ... do alag alag shabhdon ka matlab ek kar diya hai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory