Do din, sirf do din deta hoon tujhe ... teesre din tera chautha hoga
Jab tab Marcos kisi ko maarna nahi chahta, woh marta nahi ... aur jab maarna chahta hai, toh woh bachta nahi
Machhar agar neend mein bhi hamara khoon choosta hai ... toh hum usse maar dete hai ... magar yeh gunde hamare jaagte huye hamara khoon bahate hai ... aur hum kuch nahi karte
Niyam aur kanoon insaano ke liye hota hai ... insaan niyam aur kanoon ke liye nahi hote
Main toh samajhta tha ki insaan ka muqadar aasman pe behta bhagwan likhta hai ... lekin mera muqadar toh likha hai aapne woh bhi kaali syahi se nahi ... lal khoon se
Bhayanak sapno ko bhool jaana ... achchi baat nahi
Jeetna sabhi chahte hai ... lekin jeetta sirf woh hai ... joh apna sab kuch bhulakar sirf apne maqsad ko jeetta hai
Is tarah tumhara take care karoonga ... ki tum mujhe hamesha ke liye apna caretaker banaogi
Aurat ka dil atyachar se nahi ... pyar se jeeta jaata hai
Shaadi chal raha hai ya saas bahu ka TV serial ... khatam hi nahi ho raha hai
Jab hum thak ke so rahe the ... yeh so so ke thak rahe the
Tum jeeyo hazaron saal aur saal ke din ho pachaas hazar ... aur raatein ho ek lakh pachaas hazar
Aurat jis aadmi ka daaman chhodkar bhaagna chahe ... woh mard nahi namard hota hai
Tu toh kanoon ka woh pilla hai joh botiyan dekh ke talve chatta hai
Halaat insaan ko shaitaan bana deta hai ... magar devta nahi
Galat ko galat na kehna ... sabse badi galati hai
Jhoot ke kaale badal suraj ko kitna bhi dhak le ... ek din ujaala hokar hi rahega
Agar ek kadam bhi badaya ... toh doosra kadam zameen pe rakhne se pehle hi hawa mein kaat di jayega
Is generation ke paas sawal bahut hai ... jawab koi nahi
Ek baar, sirf ek baar unke chehre mere samne saaf ho jaye ... main unka woh hashar karoonga ki woh duayen maangenge zindagi ke liye nahi ... maut ke liye
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory