Tere nainon ki khidki se yeh mujhko kaun bulata hai ... chandni ishara karti hai aur chand sitaar bajata hai ... pagalpan mein kuch kar baithun toh doshi mujhko mat kehna ... is beautiful manzar ke aage kiska bas chal pata hai
Asrani
Bhool jao sab taaron ko, phoolon ko, bahaaron ko, aur yaad karo pehla chumban joh aag bhi tha aur sheetal bhi ... ab toh bas tum ho, roop tera, yowan tera, masti teri ... ab toh bas meri saansein hai teri palkon ko sek rahi ... bas do shareer ho jaye ek, dil itni baat manata hai ... is beautiful manzar ke aage kiska bas chal pata hai
Yeh rang birange phoolon ke haar ka sehra hai, yeh Amal aur Rajni ke pyar ka sehra hai ... kitni khushi ki hai ghadi kaisi pyari baat ... aaj Rajni ke dwar aayi Amal ki baraat ... nazaren milke jhuk rahi hai haathon mein hai haath ... aaj se do jan rahenge milke ek saath ... yeh do dilon ke taaron ki jhankar ka sehra hai, yeh Amal aur Rajni ke pyar ke sehra hai
Unknown
Rajni jise pyar se hum sab kahe cheeni ... chamke yun ghunghat mein joh badal mein chandni ... chupa rahi hoothon pe muskaan bhini-bhini ... sharmili aankhon mein hai sapno ki rangini ... yeh dulhan ke solah singaar ka sehra hai, yeh Amal aur Rajni ke pyar ke sehra hai ... itna aur kahenge tumse dulha bhai ... hamari cheeni toh hai khoye cheeni ki mithai ... pyar ki dhoop mein hai yeh kali khilayi ... ispe na aaye kabhi dukh ki parchai ... yeh pyar ke mausam sada bahaar ka sehra hai, yeh Amal aur Rajni ke pyar ka sehra hai
Main chala, main chala kabhi is dagar kabhi us dagar ... saath mere chale zindagi ka safar
Khushboo se chhalakti chandan si shaam aayi hai ... chahat ki dastaan dharti pe utar aayi hai ... maathe pe meri bindi chhuyi toh yoon laga tha ... haathon mein unke meri kismat ki rekha chhayi hai ... aadhi si raat teri, aadha sa chaand mera ... waqt ne kitni haseen ghazal sunai hai
Yeh kaisa zamana hai ... har shaksh begana hai ... har aankh pe parda hai ... har honth pe taala hai ... par aaise zamane mein koi toh maseeh hoga ... khudgarz nahi hoga, bedard nahi hoga ... zulmon ke khilaaf apni awaaz uthayega ... woh shaksh yahin hoga, woh shaksh yahin hoga
Main panchi hoon ... choti choti udhane bharti panchi ... woh udhne ke bahane doondhti panchi ... main panchi hoon ... kismat ki ek ajeeb dastaan sunati panchi ... apne haathon se apne pankhon ko kaantne ki kahani sunati panchi ... halaat ka ek alag hi aks dikhati panchi ... panchi ki kahani sunati panchi ... main panchi hoon
Koi hum mein maarkar hamara anth kya karega ... mitne waale nahi hai hum, koi hamara khaatma kya karega ... zindagi ko apni qaid mein liye ghoomte hai hum ... koi zindagi se hum mein juda kya karega
Rekha
Bas ek nigah se ab har nazar tumhari hai ... meri har raah bewaqt rahguzar tumhari hai ... mera har din tumhare naam pe jeeyega sanam ... meri har shyam, meri har subah tumhari hai
Kavita toh atma ki khuraakh hoti hai ... achcha sher sunne ya kehne se dil aur dimaag saaf ho jaate hai
Om Prakash
Waqt do haathon par chalta rehta hai ... ek sa rehkar badalta rehta hai ... har koi uska hamrahi, par soona hai uska raasta ... har kisi se hai rishta, par kisi se nahi vaasta ... waqt, rakht ki tarah behta waqt
Qatra qatra saansein lee thi maine ... ek zindagi mein kayi zindagiyan jee thi maine ... khwaab khwaab dekhi zindagi ko ... aankh mein choli ki tarah khela tha maine ... agle modh par ek nayi zindagi thi ... uske intezar mein saansein thaam rakhi thi maine
Manjari Phadnis
Raah kaunsi jaaun main ... chaurahe pe lut'ta cheer ... pyaade se pitt gaya wazir, pyaade se pitt gaya wazir ... chalo aakhri chaal ke chaal koi bichaun main ... sapna janama aur mar gaya ... basant ritu main baagh jadh gaya ... do din mile udhaar mein ... ghaate ke vyapar mein ... chaurahe pe lut'ta cheer ... pyaade se pitt gaya wazir
Nana Patekar
Tumhare pati ka naam tha Dwarka ... maal peeta tha woh pehli dhaar ka ... utaara na le neembu ka na achaar ka ... phir bhair kaise na badhe bekaar ka
Jisne pyar na kiya ... woh jiya toh kya jiya ... aaj khule aam kehte hai ... rab se pyara hai piya ... yaar ke baahon mein jiye ... aur yaar ke kandhon pe mare ... yaar se yaari nibhayein ... dil se dildaari karen
Yeh nazar unki nazar se aaisi takrayi ki bas ... hosh rukhsat ho gaye woh bekhudi chai ki bas ... zulf bikhri aur lipatkar mere dil se reh gayi ... meri duniya khushbuon se aaisi mehakai ki bas
Rajendra Kumar
Zindagi bankar nasha kuch aaisi lehrai ki bas ... kya kahoon har saans ne woh aag badkai ki bas ... dillagi kuch der ki, haai ban gayi dil ki lagi ... baaton baaton mein yahan tak baat badh aayi ki bas
Sadhana Shivdasani
Jabse dekha hai maine is daas ko ... na Shakespeare ko padha hai na Kalidas ko
Amjad Khan
Fudak fudak tu chaal chale, naam tera hirni komal ... thumak thumak koole thumke, hum dekh rahe aankhen mal-mal ... daant tere bhutte dane, dil ched rahe hai naina chanchal ... yeh roop tera bhari bharkam, ham pyar kare ki lade dangal
Kader Khan
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory