Aaj kanoon ki chhat tumhare sar pe hai is liye tum apni zehareeli zubaan ki dank se hum mein dass rahe ho ... lekin beta jis din yeh chhat gir jayegi aur pata chalega ki yeh sirf tumhari chaal thi ... us din tumhari zubaan ko hum alakh se ukhadkar gandi naali mein phek denge
Kader Khan
Adalat se jab kisi ko saza-e-maut milti hai ... toh Rashtrapati ke paas mercy appeal karke maut se bach sakta hai ... lekin Dada Thakur jab kisi ko maut ki sazaa sunata hai ... toh uske liye zindagi ke sare raste band ho jaate hai
Mithun Chakraborty
Joh koi hamare kanoon ke khilaaf bagavat karne ki koshish karta hai ... toh hum usse bina phatak ki railway line par leta kar uski zindagi khatam kar dete hain
Amjad Khan
Aaj se main apna kanoon khud banaonga
Amitabh Bachchan
Ek baar teri file open ho gayi na ... toh sab kuch close ho jayega
Ishrat Ali
Main Geeta per haath rakhkar yeh saugandh leta hoon ki, jo bhi kahoonga sach kahoonga aur sach ke siva kuch nahin kahoonga
Unknown
Yes hum janwar hai, we are animals ... jiski sirf cheekh ho sakti hai par awaaz nahi ... jisko sar jhukane ke liye kanoon toh milta hai par insaaf nahi ... jiska jhund ho sakta hai lekin desh nahi ... yeh janwaron ka jhund ab desh banne jaa raha hai ... aur yeh janwar ab cheekhega nahi ... gurrayega
Akshay Kumar
Insaan ke shareer mein 206 haddi aur kanoon mein 570 dharayein hai ... main haddiyan bhi todta hoon aur kanoon bhi
Arbaaz Khan
Kanoon ek chu*iya hai ... uski sabhi le sakte hai
Kanoon jab apne pe aata hai na ... na apne dekhta hai, na paraye
Ashmit Patel
Kabhi kabhi kanoon todne walo ko todne ke liye ... kanoon ko todna padta hai
Hamara yaar toh kanoon ke liye jeeta hai ... vardi ke andar kanooni cheetah hai
Gulshan Grover
Woh log jinke kandhon par insaaf aur kanoon ki imaaratein khadi hai ... unke apne hi pair paap ke dal-dal mein dhasse hue hai
Vinod Khanna
Daulat ki mandi mein kanoon hamare isharon par kathputli ki tarah naachta hai ... aur insaaf hum karte hai, hum
Jahan kanoon ke haath pahunchne mein der ho jaye ... wahan kanoon ki laat pahunch jaya karti hai
Kanoon hum mein phaasne ke liye rozana dus raaste banata hai ... aur hum usse nikalne ke liye sau raaste banate hai
Raj Babbar
Kanoon saboot ki nazaron se dekhta hai ... aur gawah ki zubaan ko samajhta hai aur sunta hai
Shatrughan Sinha
Kanoon kabhi kisi ke samne sar jhukane nahi jaata ... balki bade bade mujrim aur soorma kanoon ke aage adab se sar jhukane khud aate hai
Saif Ali Khan
Pehle khoon ke baad aadmi kanoon se darta hai ... lekin do-char khoon karne ke baad kanoon aadmi se darta hai
Shakti Kapoor
Kanoon mujrim ke saath kabhi haath nahi milata ... uske haathon mein hathkadiyan pehnata hai
Navin Nischol
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory