Kanoon ke dushmano ko main chitta ki raakh bana deta hoon
Dharmendra
Is desh mein insaaf kachhue ki chaal chalta hai
Sunny Deol
Adalat sachai ki jaanch partaal karti hai ... wahan dilon ki gawaiyan pesh nahi hoti
Unknown
Insaaf ki chakki chalti bahut dheemi hai lekin pisti bahut bareek hai
Ashmit Patel
Suraj raat ko nikal sakta hai ... farishtey jhooth bol sakte hai ... chaand aag barsa sakta hai ... magar Ranjit Kumar apne desh ko, apne kanoon ko dokha de ... yeh kabhi nahi ho sakta, kabhi nahi ho sakta
Kader Khan
Yeh kanoon ke woh baap hai joh apni duty ko apni gaud mein jhula jhulakar, usse pyari pyari lori sunakar sula dete hai ... aur aapke noton ka pankha banakar usse thandi thandi hawa dete hai
Shakti Kapoor
Jis din sahi mauka mila main us haramzade ko barbaad kar doonga ... aur phir log meri izzat karenge, mere paas kursi hogi, taqat hogi ... kanoon mera ghulam hoga aur kanoon ki devi meri rakhail
Danny Denzongpa
SP ho ya DSP, collector ho ya commissioner ... kanoon ki sari hastiyan mere aangan mein palti hai aur is chhat ke neeche un tamaam logon ki taqdeerein likhi jaati hai
Prem Chopra
Tu toh kanoon ka woh pilla hai joh botiyan dekh ke talve chatta hai
Sunil Shetty
Alla re alla inspector Bhinde alla ... haath mein leke kanoon ka tala
Kanoon ka matlab agar mulzim ko sazaa dena hai ... toh begunah ko sazaa se bachana bhi
Tujhe kanoon ne taqat, vardi ne jurrat aur tere garam khoon ne itni himmat di ... ki tu Gawda par haath utha behta?
Har woh kadam joh kanoon todne ke liye aage badega ... main usse apahij kar doonga
Govinda
Tumhe is baat ka koi haq na pahunchta ki police ki farz ki Ganga joh ki kanoon ki Gangotri se nikalti hai ... usse tum apni gandi aadaton ke gutter mein dal do
Paap aur jurm ... na toh dharam maaf karta hai, na samaaj aur na hi kanoon
Sonu Walia
Kanoon saale ka kaam jurm ko mitana hota hai ... logon ko nahi
Amitabh Bachchan
Ek khoon ki saza phansi ... aur do khoon ki saza bhi sirf phansi
(Abhe kaun hai be tu?) ... Sachon ke saath sacha hoon, achon ke saath acha hoon ... aur kanoon ki woh maa jiski aankhon pe patti bandi hai, us hi ka aankhon wala bacha hoon
Mera usool hai joh kanoon todne ki koshish kare uska haath todh doon ... joh kanoon ko challenge kare uske jabde todh doon ... taaki woh phir kabhi kanoon todne ki jurrat na kare
Mithun Chakraborty
Kanoon hamari giraftari ka plan baad mein banata hai ... hum usse todne ke raaste pehle hi bana lete hai
Rekha
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory