Apna toh aaisa-hich hai ... lade bagair apun zero aur ladke apun hero
Duniya mein rehna hai toh kaam kar pyare ... haath jodh sabko salaam kar pyare
Maine iske saath saat phere liye the ... magar yeh saat kadam bhi hamare saath nahi chal payi
Maine tujhe dhoonda yahan vahan sara jahan kahan kahan kahan ... tu mujhe mili yahan yahan yahan?
Woh ek ko pakadti hai, doosre ko lipatti hai, teesre ko dekhti hai ... aur chauthe ko chedti hai
Dil left mein hota hai magar hamesha right hota hai
Unke mujhpar itne ehsaan hai ... ki agar main apni chamdi ka joota banakar bhi unhe pehnata ... toh bhi kam hota
Sachchai ke liye koi bhi cheez chhodi ja sakti hai ... magar kisi bhi cheez ke liye sachchai ko chhoda nahi ja sakta
Tere baba ne kya diya mereku ... ek lota, ek thali, ek lungi woh bhi phateli, ek potti woh bhi hateli ... arre tu hamesha samajhti mujh ko kamina, hat ja kidhar hai meri Meena
Vishvas vaade ke daldal ki zameen par khadi dhue ki woh deewar hai ... jispe na toh koi insaan reh sakta hai aur naa hi koi sachai ki keel thok sakta hai
Pyar chhal nahi ... tyag hai, tapasya hai, pooja hai, prarthana hai, ibaadat hai, ardaas hai
Main tumhare jism ko vardi ki jagah zakhmon ka libaaz pehna doonga ... aur phir tum dard se itna tadpoge ke uske baad maut ko bhi chakhoge toh yahi kahoge ke ... maaza nahi aaya
Daal ke bataya nahi jaata ... aur bata ke daala nahi jaata
Tumhe insaanon se nahin ... paison se pyar hai
Pyar mein dara nahi jaata ... pyar mein toh kuch kara jaata hai
Yeh teen cheezein kaafi khatarnak hoti hai ... kaala coat, safed coat aur petticoat ... pata nahi kitne ghus gaye
Zindagi mein jitne chahe dushman bana lena ... magar kabhi kisi ko apna dost nahi banana ... kyun ki dost ek aisa naag hai jis logon ko peekar jeeta hai ... ek din apna saara zehar us hi logon mein bhar deta hai
Sabak wafaa ka sikhaya bhi ja nahi sakta ... joh seekh lo toh bhulaya bhi ja nahi sakta .. yeh haseen dard dil mein chupaya bhi ja nahi sakta ... aur koi pooche toh bataya bhi ja nahi sakta
Shaadi byah woh rishta hota hai jisse uparwaala aasman mein tay karta hai ... aur duniya waale sirf rasme poori karte hai
Maine kya kya sapne dekhe the ... byah karke honeymoon karne Switzerland jaonga ... lekin ab toh zindagi mein na switzer hai, na land hai, na honey hai, na moon hai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory