Hamare desh mein ... kaam dhoondna bhi ek kaam hai
Aaisi maut marenge ... ki ek baar maut ko bhi paseena aa jayega
Meri maa mujhe wapas dedo
Apne shabd aur samay ko bahut hi soch samajhkar karchiyega ... yeh dobara lautkar nahi aate
Vyavastha se gunehgar bante honge ... lekin gunahon ko vyavastha ki pratishtha dene ka kanoon ko koi haq nahi hai ... gunah ki vyavastha nahi ho sakti
Dhai din ki dophari ... shaam raat amavas ki ... sheesham ke ghode par hoke savaar ... aayegi shaamat gunehgaron ki
Maut aaye na toh woh pariyon ki tarah aani chahiye ... lekin zindagi mein joh karna chahiye ... woh sab kar liya ho toh hi pari aati hai
Aadmi bura kaam is liye karta hai kyun ki uske dil ke andar achhai ka darr nahi hota ... jis din iske andar ki burai achhai se darne lagegi ... us din se har bura kaam karne se pehle yeh dus baar sochega
Jis tarah ladki ka thopda bighad jaane se usse dulha nahi milta na ... ussi tarah gadi ka thopda bighad jaane se usse savari nahi milti
Uthho jawaan-e-watan, bandhe huye sar se kafan ... uthho dakkhan ki aur se, Gang-o-Jaman ki aur se ... Punjab ke dil se uthho, Satluj ke sahil se uthho ... awaaz do hum ek hai, hum ek hai, hum ek hai
Is desh ki sabse badi problem population nahi, bhrashtachar nahi, gareebi nahi ... is desh ki sabse badi problem hai baatein
Muddha yeh nahi hai ki main jeeton ya haaron ... muddha yeh bhi nahi hai ki main jeeyon ya maar diya jaon ... muddha yeh hai ki ek police officer hone ke naathe mera joh farz hai ... usse mein imaandari se nibha raha hoon ya nahi ... ek insaan hone ne naathe satya ke liye, satya ki vijay ke liye main ladh raha hoon ya nahi
Maut ka sadma toh insaan bardasht kar leta hai ... lekin jab koi apna kho jaata hai toh usse paane ki tadap ko bardasht nahi kar paata
Yeh kambakht mohabbat hai hi badi musibat waali cheez ... aksar imtehaan leti hai ... lekin khushiyan bhi deti hai
Aadmi Himalaya ki choti se girke uth sakta hai ... lekin ek baar khud apni nazron se gir jaye toh phir woh girta hi chala jaata hai
Rang aur roop toh bhagwan deta hai ... lekin uski hifazat karna apne haat mein hai
Main tumhe itni maar maroonga ... shareer mein itne zakhm doonga ... ki dard bhi pareshaan ho jayega ki uthe toh kahan se uthe
Zarre zarre mein usika noor hai, jhaank khud mein woh na tujhse door hai ... ishq hai usse toh sab se ishq kar, is ibaadat ka yahi dastoor hai ... is mein us mein aur us mein hai wohi, yaar mera har taraf bharpoor hai
Tum government se ho ... government tumse nahi hai
Doctor bimaari se ladta hai ... bimaari uski dushman hai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory