Apun to khud saala maut hai ... is liye aaj talak zindagi ka himmat nahi pada ... ki apun ko nazdeek se aakar dekhe
Hamara zikr toh har pal hua fasaane mein ... toh kya hua joh todhi der hui aane mein
Tu is duniya mein first time aake itna nahi roya hoyenga ... jitna tu aaj is duniya se jaate time royenga
Bade toh aap ban gaye ... lekin khud ke mamle mein zara chote reh gaye
Hum sab ek doosre ko dosh de rahe hai ... jab ki sachchai yeh hai ki ... hum sab hi doshi hai
Joker agar baazi bana sakta hai ... toh joker baazi bhigaad bhi sakta hai
Zindagi kaatni kise thi ... humein toh jeeni thi
Jab insaan nasha karko haivaan ban jaata ... toh haivaan nasha karko shaitaan hi banega na
Degree se sirf certificate milta hai ... akal nahi
Ghode par bahetkar jaan ki baazi lagane mein woh maaza nahi ... joh chahat ke maidan mein dil ki baazi laga dene mein hai
Main kaun hoon, kaun nahi ... pata nahi ... maa ko kia vaada hoon, ya adoora ek iraada hoon ... main acha hoon, bura hoon, punya hoon, ya paap hoon ... yeh khud se poochna ... kyun ki main bhi aap hoon
Kisi ne uske khilaf mooh khola na toh ho jaati hai ladai ... style marne ke chakkar mein maine agar kabhi haath khol diye toh beta ho jaati hai pitai
Jitna dhokla, thepla te fafda khana hai khao ... par meri zindagi to jao
Prem ki koi seema nahi hoti aur naa hi uska koi wazan hota hai ... prem ka koi hisaab kitaab nahi hota ... is liye toh kehte hai ki prem hi ishwar hai aur ishwar hi prem
Relationships utne hi complicated hote hai ... jitna tum unhe banana chahte ho
Taash ke patton ki tarah hai zindagi ... jahan khel shuru hone se pehle, khiladiyon ke aane se bhi pehle ... kaun jeetega, kaun haarega ... iska faisla ho chuka hota hai
Aisa hamesha zaroori nahi hai ki jis raaste par maa baap chale ... ussi raaste par aulad bhi chale
Haar tab hoti hai jab haar maan li jaye
Main tumse prem karta hoon, kewal tumse ... tumhare sivah na kuch chahta hoon, na kuch sochta hoon ... jabse tumko dekha hai sab badal sa gaya hai, main badal sa gaya hoon ... kuch samajh nahi aata ... na kehta toh pagal ho jaata
Do kadam kya, sau kadam peeche hatt ja ... lekin aaj na tu apni maut se peecha chhuda sakta hai ... na maut ke saaye se
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory