Beizzati ki chhat ke neeche jeene se behtar hai ... ke insaan bina chhat ke izzat se jiye
Kabhi kabhi toh lagta hai bhagwan bhi dhanwanon ki tarah gareebon ka saath nahi deta
Gunahghar us waqt tak mashoor rehta hai jab tak police dheel deti hai ... lekin jab police kanoon ki rassi kheenchti hai toh bade bade mujrimon ke gale mein phasi ka phanda hota hai
Swatantra Bharat ka nagrik hoon, krantiveer hoon, tanashahi ke liye talwar hoon, yam lok mazdooron ka sardar hoon
Tum insaan nahin balki ek chalti phirti tijori ho ... tumhare seene mein dil ki jagah noton ka bundle rakha hua hai
Do mithiyan galaan kar kudiye haske sadde naal ... arre saath khade hum dono lagte hai Sohni Mahiwal
Jiske dil mein Allah ka noor hota hai ... woh andha hokar bhi sab kuch dekh sakta hai
Aksar desi aankhon par videshi chasma lagane se ... dimaag mein charbi chad jaati hai
Ab yeh haath chori ke maal ka bhoj nahin ... balki hathkari ka bhoj uthayenge
Maine jitni bhi taleem haasil ki, jitni bhi kitabein padhi hai ... un kitabon ki likhayi meri maa ki mehnat ke pasine se likhi hui hai
Yeh zindagi thode aasoon aur thodi hassi se milkar bani hai ... aankh se tapke hue har aasoon mein aane waali khushi ki kiran chupi hai ... jeevan ka sangeet chupa hai
Jisse barfo mein ice-cream khane ka shauk ho ... usse sardi nahi lagti
Daulat waalon se kabhi dil lagana nahi chahiye ... woh kapde aur gadiyon ki tarah dil bhi badalte rehte hai
Main jis file ko kholta hoon na ... woh mujrim ko jail mein bandh karne ke baad hi bandh karta hoon
Do akele mil gaye toh ek sansar ban jayega
Dil mein gandagi lekar paida hone waala insaan ... kabhi amar nahi ho sakta
Sansar ka yeh niyam hai ke paapi kabhi amar nahi hote
Tumhare paas na sharm hai na sharmane waala dil hai
Jab tab ungli tedhi na karo, dibbe mein se ghee nahi nikalta ... aur jab tak tedha rasta na pakdo, bhigda hua sahi raste par nahi aata
Koyle ko kitna bhi sabun lagao ... woh kaala ka kaala hi rahega
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory