Mangalsutra ek aisi cheez hai jiski keemat ek suhagan hi bata sakti hai
Ek patni ke liye vidhva bankar jeene se toh achcha hai ... ki woh suhaagan ki maut mare
Hamari zindagi ke do pehlu hai ... ek adhikar ka doosra kartavya ka ... ek ke bina doosra mumkin nahi
Romance time dekh karke todhi na aata hai ... romance bhi divorce ki tarah ho jaata hai bas
Aaj agar samaaj se apradh ko khatam karna hai toh usse jadh se mitana hoga ... us pedh ko hi kaatna hoga jispar apradh ke phal pehda hote hai ... aur woh pedh tu hai
Hamare paas duniya par nazar rakhne waali itni aankhen hai ... jitni shayad aasman par sitaare bhi na ho
Mujhe gunaah aur gunehgaar dono se sakht nafrat hai
Jaam-e-mohabbat aankhon se hi pee lete hai dilwale ... ek nazar mein mujhko padhkar jee lete hai dilwale
Prem ke do hi roop hote hai ... kisi ko apna kar lena ya kisi ka ho jaana
Tohe neend kaise aave hai re moore neend ki dushman ... yahan toh har raat kaali nagin bankar aave hai, dasse hai, jaan mein zehar gholke chali jaave hai
Kanoon hamari giraftari ka plan baad mein banata hai ... hum usse todne ke raaste pehle hi bana lete hai
Haath ki rekhayein kabhi jhoot nahi bolti
Appointments can wait but death will not
Pyar kabhi kabhi aadat ban jaata hai ... lekin tum sirf ek aadat nahi ab meri zaroorat ban chuke ho
Jab bhi hamare samne koi bewakoof akalmandi ka taj pehenne ki jurrat karta hai ... toh taj toh uske haathon mein hota hai magar pehenne ke liye uska sar nahi hota
Yeh maut bhi kitni ajeeb cheez hai ... insaan usse mehsoos karte hi, zindagi ke aanchal mein chanchal balak ki tarah tadapne lagta hai
Dimaag ki aankh se dekhne waale ... chehre ki aankhon ka bahut kam istamal karte hai
Jis tarah yamraj ko sirf yamlok hi dekh sakta hai ... ussi tarah Madam X ki shakal bhi sirf uska apna samraj hi dekh sakta hai ... joh bhi hamari jhalak dekhne ki jurrat karta hai ... woh jalkar aaise dhuan ho jaata hai ki na zameen ko uski khaak milti hai, na hawaon ko uski raakh
Aurat ki jab haai lagti hai na ... joh ek janam toh kya, saat janam bighad deti hai
Tujh paapi ke saath pal bhar ki zindagi se hazar baar marna behtar hai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory