Ek maa ke dil ka sabse bada armaan ... bete ka byah hota hai
Jise dost ka haath thaam le aur maa ka aashirwad mil jaye ... woh zindagi ki har manzil tay kar sakta hai
Pyar paise se nahi khareeda ja sakta ... usse paane ke liye toh puja karni padti hai
Kisi kisi dukh ke peeche ek bada sukh chupa hota hai
Kanoon jurm ko dekhta hai, insaan ko nahi dekhta ... uske samne raja aur runk, ameer aur gareeb, maalik aur ghulam ... sab barabar hai
Insaan badal jaate hai ... insaano ke naam nahi badalte
Ishwar hazar gunah karne ke baad maaf kar deta hai ... lekin ek baar maa ka dil dukhao toh woh kabhi maaf nahi karta
Aapke anurodh pe main yeh geet sunata hoon ... apne dil ki baaton se aapka dil behlata hoon
Mere sapne ka sambandh aankhon se nahi hai, dil se hai ... jise mehsoos kiya ja sakta hai, dekha nahi ja sakta
Sansar ki har gandagi ko apne haathon se chukar ... tum usse pavitra bana deti ho
Tumhara hriday kitna achcha hai, woh toh main jaanta tha ... lekin kitna vishal hai yeh aaj malum hua ... jitna tumhe milta hoon, mukt ho jaata hoon
Talash zindagi ka doosra naam hai ... kisi ko rozi ki talash hai aur kisi ko chain aur sukoon ki
Kuch din pehle hum ek doosre ko jaante tak nahi the ... aur kuch hi dino mein do se ek ho gaye ... aur ab kuch hi dino mein teen
Jis din ek mazdoor kaam pe nahi jaata ... uske ghar par chula nahi balki uska pet jalta hai
Jahan yaar nahi wahan pyar nahi ... jahan pyar nahi wahan yaar nahi
Pyar toh bhagwan ka vardaan hai aur paisa insaan ka banaya hua zehar ... zaada ho jaane par usse maar dalta hai
Duniya ek bahut badi mandi hai, bazar hai ... jahan pe har cheez ka bhaav hai, mol hai ... jahan pe har cheez ek bikau maal hai
Jis tarah insaan purane kapde phekkar naye kapde pehan leta hai ... us hi tarah aatma bhi purane jism ko chhodkar naya jism dharan kar leti hai
Aurat woh haseen paheli hai jisse samajhne ke liye insaan baar baar galati karta hai ... magar phir bhi samajh nahi paata
Hamare desh mein samajwad kahan hai ... hamare desh mein toh afsarwad hai, jaat-paatwad hai, kursiwad hai ... arre samajwad toh tab aayega jab aap apne vote ki taqat mehsoos karenge
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory