Woh kehte hai yeh tera desh nahi, phir kyun mere desh jaisa lagta hai ... woh kehta hai main us jaisa nahi, phir kyun mujh jaisa woh lagta hai
Shahrukh Khan
Pyar ka matlab sirf pyar ka izhaar karna nahi hota ... pyar bina kuch kahe bhi, pyar hi hai ... pyar qurbani bhi hai ... pyar ek doosre ke liye chup rehna bhi hai ... pyar ka matlab sirf pyar ko pana nahi hai ... pyar kisi aur ki khushi ke liye, apni khushi mitana bhi hai
Hrithik Roshan
Ek hawa chhuke gayi abhi abhi ... chandni pighal abhi abhi ... yeh mujhe kya ho gaya ... yeh kahan main kho gaya
Pulkit Samrat
Tera haath se haath chodna ... tera saayon ka rukh modna ... tera palat ke phir na dekhna ... nahin maaf karoonga main ... jab tak hai jaan, jab tak hai jaan
Tere jhoothe kasme vaadon se ... tere jalte sulagte khwabon se ... teri beraham duaon se ... nafrat karoonga main ... jab tak hai jaan, jab tak hai jaan
My daddy cry if I fail ... then I hit you and go to jail ... but don't worry I get easy bail ... then I again hit you, again jail, again bail ... then jail bail, jail bail, jail bail ... and one day your heart fail
Varun Dhawan
Dilon mein tum apni betaabiyan leke chal rahe ho toh zinda ho tum, nazar mein khwabon ki bijliyan leke chal rahe ho toh zinda ho tum ... hawa ke jhokon ke jaise aazad rehno seekho, tum ek dariya ke jaise lehron mein behna seekho ... har ek lamhe se tum milo khole apni baahen, har ek pal ek naya samha dekhe yeh nigaahen ... joh apni aankhon mein hairaaniyan leke chal rahe ho toh zinda ho tum, dilon mein tum apni betaabiyan leke chal rahe ho toh zinda ho tum
Farhan Akhtar
Duniya mein kitni hai nafratein ... phir bhi dilon mein hai chahatein ... jao kehdo is jahan se, is zameen se, aasman se ... rok na sakenge ab yeh mohabbatein
Hai aaj mere yaar ki shaadi magar main khush nahi hoon ... hai kisi ke pyar ki shaadi magar main khush nahi hoon ... maine roka usse, toka usse samjhaya bhi ... deke vaasta apni yaari ka manaya bhi ... uski rah ka patthar bana aur kaanta bhi ... phool banke uske samne murjhaya bhi ... le karke chal diya hai woh baharen dahej mein ... hai gul-e-gulzar ki shaadi magar main khush nahi hoon ... hai aaj mere yaar ki shaadi magar main khush nahi hoon ... hai kisi ke pyar ki shaadi magar main khush nahi hoon
Uday Chopra
Phool khilte hai, bahaaro ka samaa hota hai ... aaise mausam mein hi toh pyar jawan hota hai ... dil ki baaton ko hooton se nahi kehte ... yeh fasaana toh nighahon se bayaan hota hai
Aamir Khan
Maut ko dekha pairon ki dhool ki tarah ... taqdeer ko thukrane wale sultan ki tarah ... chingaari pair se dabake dhaar-dhaar khanjar pe chalke ... dil mein joh dar utha usse maarke ... jigar walo ki fauj bankar dushman pe chha gaya ... kaal ka karne vinaash mahakaal aa gaya
Unknown
Woh aaj humse mile anjaano ki tarah ... hum yunhi raah take baithe the deewanon ki tarah ... har nigaah mein aur door chale jaate hai ... humse nazar churate hai baimaanon ki tarah ... hum yunhi raah take baithe the deewanon ki tarah
Kartik Aaryan
Bas ek haan ke intezaar mein raat yunhi guzar jayegi ... ab toh bas uljhan hai saath mere, neend kahan aayegi ... subah ki kiran na jaane kaunsa sandesh layegi ... rim jhim si gungunayegi ya pyas adhoori reh jayegi
Kabhi raste mein mil jao toh katrakar guzar jana ... hum mein is tarah takna jaise pechana nahi tumne ... hamara zikr jab aaye toh yun anjaan ban jana ... ki jaise naam sunkar bhi hum mein jana nahi tumne
Amitabh Bachchan
Woh kehte hain kabhi aur, kabhi aur hota nahi ... dil bhi toh nadan unke sivah kahin aur khota nahi ... hum mangte hai ek saans, ek dhadkan, ek nigaah ... woh kabhi aur de jaate hai ... par yeh kambakht kabhi aur, kabhi aur hota nahi
Jab se tumko jaana hai, tab se tumko chaha hai ... jab se tumko chaha hai, tab se khudko jaana hai ... yahi kehne ke bahane, dhoondta dil deewana hai
Vidya Balan
Har din, har raat tera khayal rehta hai ... har waqt, har pal bas ek sawaal rehta hai ... tum bin jiya jaye kaise, kaise jiya jaye tum bin ... muskuraya tune joh taare bhi sharma gaye ... dil ki dhadkan badh gayi toh hum bhi kuch ghabra gaye ... aye hawa behki hawa chhuna usse tehzeeb se ... mere pyar ka paighaam dena chupke chupke kareeb se
Woh kehte hai ki woh koi nahi thi, phir kyun mere liye duniya se woh ladti hai ... woh kehte hai main us jaisa nahi, phir kyun mujh jaisi woh lagti hai
Bane chahe dushman zamana hamara, salamat rahe dostana hamara ... na bechre marke bhi hum doston, hum mein dosti ki kasam doston ... pata koi pooche toh kehte hai hum, ek dujhe ke dil mein rehte hai hum ... nahi aur koi thikana hamara, salamat rahe dostana hamara
Alok Nath
Sab sukh lahe tumhari sharna, tum rakshak kahu ko darna ... sankat hate mite sab peera, joh sumrai Hanumat balbeera
Salman Khan
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory