Tera aakhri faisla meri adalat mein hone waala hai ... jahan ka vakil bhi main hoon, gawah bhi, judge bhi ... aur tujhe phasi dene waala jallad bhi
Ajay Devgan
Kanoon banane se pehle kanoon todne waale paida ho gaye the
Ranjeet
Yeh ghar mera hai ... is ghar mein bole hue mere har alfaaz kanoon ke barabar hai
Amitabh Bachchan
Gunah jitna bhi sangeen ho, saza bhi utni hi sangeen honi chahiye ... gunehgar jitna bereham ho, insaaf bhi utna hi bereham hona chahiye
Bhagwan ki adalat ka faisla insaan ko pata nahi chalta ... is liye woh gunah pe gunah kiye jaata hai ... aur insaan ki adalat kabhi kabhi faisla karne mein dokha kha jaati hai ... is liye maine banayi hai teesri adalat joh tum jaise hathyaron ko sazaa degi ... saza-e-maut
Dharmendra
Mere liye Lakshmi Devi, Saraswati Devi, Durga Devi, Kali Devi, duniya ki har devi joh hai ... woh hai insaaf ki devi
Kader Khan
Kanoon ki jung jazbaat ke barood se nahi ... sabooton ke hathyar se ladi jaati hai
Mohan Joshi
Tere baap ke telephone par khulne waale darwaaze jail ke nahi ... kothon ke honge ... tere baap ke ishaaron par adalaton ke faisle nahi ... tawaifon ki adaein badalti hogi
Rekha
Kanoon kehta hai ki karz agar purana ho jaye ... toh usse chukane ki koi zaroorat nahi
Om Prakash
Tu kanoon ko khareed sakta hai, adalaton ko khareed sakta hai ... lekin bhagwan ke us insaaf ko nahi khareed sakta
Anil Dhawan
Bheenk mangni parti hain kanoon ke wafaadaron ko ... par maal khane ko milta hai desh ke gaddaron ko
Ishrat Ali
Yeh khoon maine kiya hai, my lord
Unknown
Nyay agar jeevan ka adarsh hai ... insaaf agar hamare samvidhan ka maulik adhikar hai ... toh phir usse vyavastha, parampara aur paristithiyon ka ghulam mat banaiye
Jiske haath mein nyay dene ka aadhikar ho aur nyay na de ... woh hoth hai asal mritak
Pankaj Tripathi
In sarmayedaron ne kanoon ki haisiyat us andhe bikhari ki tarah bana di hai ... jisse apna pet bharne ke liye saboot ki rotiyan chahiye ... phir kyun na woh paap ke aate se bani ho aur gunaah ki bhatti mein pakki ho
Vinod Khanna
Agar kisi ko jaan se maar dena kanoonan jurm hai ... toh kisi ke charitra ki hatya karna bhi ek sangeen jurm se kam nahi
Anupam Kher
Gunehghar aur mujrim ka rishta ya kanoon se hota hai ... ya phir bandook ki goli se
Sanjay Dutt
Roman kanoon faulad ki tarah sakht aur waqt ki tarah atal hai
Nazir Hussain
Yeh desh hai toh samvidhaan hai ... desh nahi toh uske samvidhaan, uske kanoon ka koi wajood nahi
Om Puri
Har khooni khoon karne ke baad yahi kehta hai ki usne khoon nahi kiya
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory